Friday, June 02, 2006

Ya Mujhe Afsar-E-Shah

Ya Mujhe Afsar-E-Shah na banaya hota
   ya Mera Taj-Gadayana Banaya Hota

Khaksari ke liye Garche Nabaya tha Mujhe
   Kaash Sang-e-Dar-e-Jaana Na Banaya Hota
 
Nasha-e-Ishq ka gar Zurf Diya tha Mujhko
   Umar ka Tang Na Paimana Banaya hota

Roz Mumuraye duniya mein Kharabi Hai zafar
   Aisi Basti se to veerana banaya hota

                     -Bahadur Shah Zafar

-------------------------------------------
   Afsar-E-Shah  : Chief of Kings
   Taj-Gadayana  : Hermit like crown
   Khaksari      : Service
   Garche        : if
   Sang-e-Dar-e-Jaana : Stepstone of beloved door
   Zurf          : Privilege
   Umar          : Life
   Mumuraye      : Routine
------------------------------------------

No comments: