Friday, June 09, 2006

Tumne Dil ki Baat keh di

Tumne Dil ki Baat keh di, aaj yeh accha hua
Hum tumhe apna samajhte theey, bada dokha hua

Jabh bhi humne kuch kaha, uska asar ulta hua
Aap shayad bhoolte hain, baar-ha aisa hua

Aapki aankhon mein yeh aansoon kahan se aa gaye
Hum to deewane hain lekin, aapko ye kya hua

Abh kissi se kya kahein, Iqbal apni daastan
bus Khuda ka shukr hai, jo bhi hua accha hua


-Sung by Jagjit Singh

No comments: