Friday, March 30, 2007

Main yeh soch kar us ke dar se uthaa tha

Main yeh soch kar us ke dar se uthaa tha
Voh rok le gi mujh ko, mana le gi mujh ko
Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
Ke daaman pakad kar bithaa le gi mujh ko
Qadm is aandaaz se uth rahe the
Ke aawaaz de kar bulaa le gi mujh ko.

Magar us ne roka na mujh ko manaya
Na daaman hi pakda na mujh ko bithaaya
Na aawaaz hi di na mujh ko bulaaya
Main aahista-aahista badta hi aaya
Yahan tak ke us se juda ho gaya ...

-Poet : Kaifi Azmi

banaa gulaab to kaantay chubhaa gayaa ik shakhs

banaa gulaab to kaantay chubhaa gayaa ik shakhs
huvaa chiraagh to ghar hii jalaa gayaa ik shakhs

tamaam rang meray aur saarai khavaab meray
fasaanaa kah kay fasaanaa banaa gayaa ik shakhs

main kis havaa main uRhuun kis fazaa main laharaa_uun
dukhon kay jaal har-suu bichhaa gayaa ik shakhs

palut sakuun main, na aagay badh sakuun jis par
mujhay yeh kaun sey rustay lagaa gayaa ik shakhs

muhabbatain bhii ajiib us kii nafaratain bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh main samaa gayaa ik shakhs

vo mahataab thaa, marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs

khulaa ye raaz ke aa_iinaa-khaanaa hai duniyaa
aur is main mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shakhs

------------------------------------------------
Poet : Obaidullah Aleem

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii
(aarazuu = desire)

ka_ii saal se kuchh Khabar hii nahii.n
kahaa.N din guzaaraa kahaa.N raat kii

ujaalo.n kii pariyaa.N nahaane lagii.n
nadii gunagunaa_ii Khayaalaat kii

mai.n chup thaa to chalatii havaa ruk ga_ii
zubaa.N sab samajhate hai.n jazbaat kii

sitaaro.n ko shaayad Kahbar hii nahii.n
musaafir ne jaane kahaa.N raat kii

muqaddar mere chashm-e-pura'ab kaa
barasatii hu_ii raat barasaat kii

-Bashir Badr

hoshwalon ko khabar kya

hoshwalon ko khabar kya, bekhudi kya cheez hai,
ishq keejiye fir samajhiye zindagi kya cheez hai.

unse nazaren kya mili roshan fizaayen ho gayee,
aaj jaana pyar ki jaadoogari kya cheez hai.

khulti zulfon ne sikhayee mausamoN ko shayari,
jhukti aankhon ne bataya mehkashi kya cheez hai.

hum labon se keh na paaye unse haal-e-dil kabhi,
aur woh samjhe nahi yeh khamoshi kya cheez hai.


--------------------------------------------------
Poet : Nida Fazli
Singer: Jagjit Singh
Album : Film "Sarfarosh"

yaa to mit jaaiiye yaa mitaa diijiye

yaa to mit jaaiiye yaa mitaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye

ab jafaa kiijiye yaa vafaa kiijiye
aaKharii vaqt hai bas duaa kiijiye

apnay chehaay se zulfain hataa diijiye
aur phir chaand kaa saamanaa kiijiye

har taraf phool hii phool khil jaayaingay
aap aisay hii hanstay rahaa kiijiye

aap kii ye hansii jaisay ghoongaruu bajay
aur qayaamat hai kyaa ye bataa diijiye




-------------------------------------

Poet : Wajida Tabassum

Agar hum kahen aur woh muskra dey

Agar hum kahen aur woh muskra dey,
Hum unkay liyey zindgaani luta dey,
Har ik mod par hum gamon ko saza dey,
Chalo zindagi ko mohabbat bana dey !

Agar khud ko bhoolay, to kuch bhi na bhoolay,
Ki chaahat mein unki khuda ko bhula dey !

Kabhi gham ki aandhi jinay choo na payey,
Wafaon kay hum woh nash-e-man bana dey !


Qayaamat kay deewanay kehtay hain humsay,
Chalo unkay chehray say parda hata dey !


Saza dey sila dey, bana dey mita dey,
Magar woh koi faisla to suna dey !

maut tuu ek kaviitaa hai

maut tuu ek kaviitaa hai .
mujhase ek kaviitaa kaa vaadaa hai milegii mujhako ..

Duubatii nabzo.n me.n jab dard ko nii.nd aane lage
zard saa cheharaa li_e chaa.Nd ufak tak pahu.nche
din abhii paanii me.n ho raat kinaare ke kariib
na abhii a.ndheraa ho na ujaalaa ho
na raat na din
jism jab khatm ho aur ruuh ko saa.Ns aae .

mujhase ek kaviitaa kaa vaadaa hai milegii mujhako ..


--------------------------------------------------------
Recited in Film "Anand"

kabhii yuu.N bhii to ho

kabhii yuu.N bhii to ho
dariyaa kaa saahil ho
puure chaa.Nd kii raat ho
aur tum aao

kabhii yuu.N bhii to ho
pariyo.n kii mahafil ho
ko_ii tumhaarii baat ho
aur tum aao

kabhii yuu.N bhii to ho
ye narm mulaayam Tha.nDii havaaye.n
jab ghar se tumhaare guzare.n
tumhaarii Khushbuu churaaye.n
mere ghar le aaye.n

kabhii yuu.N bhii to ho
suunii har ma.nzil ho
ko_ii na mere saath ho
aur tum aao

kabhii yuu.N bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se

kabhii yuu.N bhii to ho
tanahaa_ii ho, dil ho
buu.Nde.n ho, barasaat ho
aur tum aao

kabhii yuu.N bhii to ho



-------------------------------------
Album : Silsilay
Poet : Javed Akhtar
Singer: Jagjit Singh

yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

Ghair leiN mehfil meiN bose jaam ke

Ghair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGhaam ke
(bosa= kiss, tishna = thirsty)

Khastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathdanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke
(Khastagee = injury/sickness, hathkanDe = tactics,
charkH-e-neelee_faam = blue sky)

KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'ehraam ke
(zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy.
subh_dam = at dawn, 'ehraam = dress for hajj)

dil ko aaNkhoN se fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke
(halqa = circle, daam = net/trap)

shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hamaam ke
(ghusl = bath, sehat = health, hamaam = masseur who gives a hot bath)

ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the' kaam ke

meraa kuchh saamaan

meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai
o o o ! saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n
aur mere ek khat me.n lipaTii raat pa.Dii hai
vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lauTaa do
vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lauTaa do
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai

patajha.D hai kuchh ... hai naa ?
o ! patajha.D me.n kuchh patto.n ke girane kii aahaT
kaano.n me.n ek baar pahan ke lauT aaI thii
patajha.D kii vo shaakh abhii tak kaa.np rahii hai
vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lauTaa do
vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lauTaa do

ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the
ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the
aadhe suukhe aadhe giile, sukhaa to mai.n le aayii thii
giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho !
vo bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do

ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til
ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til
giilii me.nhadii ki khushabuu, jhuTh-muuTh ke shikave kuchh
jhuuTh-muuTh ke vaade sab yaad karaa duu.N
sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do
sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaauu.Ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii

kitanii raahat hai dil TuuT jaane ke baad

kitanii raahat hai dil TuuT jaane ke baad
zi.ndagii se mile maut aane ke baad

lazzat-e-sajdaa-e-sa.ng-e-dar kyaa kahe.n
hosh hii kab rahaa sar jhukaane ke baad

kyaa huaa har masarrat agar chhin ga_ii
aadamii ban gayaa Gam uThaane ke baad

raat kaa maajaraa kis se puuchhe.n "Shamim"
kyaa banii bazm par mere aane ke baad


-----------------------------------------

taasiir-e-chashm-e-tar

taasiir-e-chashm-e-tar na dikhaa duu.N to baat kyaa
un ko bhii ek din na rulaa duu.N to baat kyaa

raah-e-junuun-e-shauq me.n ba.Dhane kii der hai
ma.nzil jagah jagah na banaa duu.N to baat kyaa

saqii se bas nigaah milaane kii der thii
aalam ko mayakadaa na banaa duu.N to baat kyaa

mere niyaaz-e-ishq kii kyaa baat hai "Shamim"
qadamo.n me.n husn ko na jhukaa duu.N to baat kyaa

Apno.N ke sitam humse bataye nahin jaate

Apno.N ke sitam humse bataye nahin jaate,
Ye Haad.se wo hain jo sunaye nahin jaate

kuch kam hi taaluq hai mohabbat ka junun se
diwane to hote hain banaye nahin jaate

Ek umr ki koshish se bhula si hai teri yaad
Lekin abhi tak yaad ke saaye nahin jaate

Pyaloo.N mein ho zaharaab ke kuch aur ho 'Faakir'
haath hothoo.N se to vaapas laaye nahin jaate

-----------------------------------------------
Sudharshan Fakir

Besabab Baat Badhaane Ki Zaroorat Kya Hai

Besabab Baat Badhaane Ki Zaroorat Kya Hai
Hum Khafaa Kab The Manaane Ki Zaroorat Kya Hai

Aap Ke Dam Se To Duniyaa Ka Bharam Hai Qaayam
Aap Jab Hain To Zamaane Ki Zaroorat Kya Hai

Dil Se Milne Ki Tamanna Hi Nahin Jab Dil Mein
Haath Se Haath Milaane Ki Zaroorat Kya Hai

Tera Koocha, Tera Dar, Teri Gali Kaafi Hai
Be-Thikaanon Ko Thikaane Ki Zaroorat Kya Hai



----------------------------------------
Singer : Jagjit Singh

Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun

Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun,
Bazaar se guzra hun, kharidaar nahin hun.

Zinda hun magar zeest ki lazzat nahin baaqi,
Har chand keh hun hosh mein, hushiyar nahin hun.

Is khana-e-hasti se guzar jaaunga be-laus,
Saaya hun faqt, naqsh-ba-deewar nahin hun.

Woh gul hun khizaan ne jise barbaad kiya hai,
Uljhun kisi daaman se, main woh khaar nahin hun.

Yaarab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se,
Main uski inaait ka talabgaar nahin hun.

Go daawa-e-taqwa nahin dargaah-e-Khuda mein,
But jus se hon khush aisa gunahgaar nahin hun.

Afsudagi-o-zauf ki kuchh had nahin, Akbar,
Kaafir ke muqaabil mein bhi deendar nahin hun.


----------------------------------------------
Poet : Akbar Allahabadi

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN

1. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

[ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,
roz = day, maah = month, saal = year ]

2. fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?

[ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]

3. thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?

[ tasavvur = imagination/khayaal, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]

4. 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

[ haal = spiritual ecstasy ]

5. fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?

[ wabaal = calamity ]


--------------------------------------------------------
Poet : Mirza Ghalib
Singer : Jagjit Singh
Album : Mirza Ghalib

hairato.n ke sil-sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye

hairato.n ke sil-sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye
ham nazar tak chaahate the tum to jaa.N tak aa gaye

na.muradi apni qismat gumrahi apna naseeb
karwaN ke khair ho hum karwaN tak aa gaye

un kii palako.n per sitaare apane ho.nTho.n pe ha.Nsii
qissaa-e-Gam kahate kahate ham kahaa.N tak aa gaye.

apni apni justuju hai apna apna shouq hai
tum haNsi tak bhe na poNhche hum fugaaN tak aa gaye

zulf me.n Khushbuu na thii yaa ra.ng aariz me.n na thaa
aap kis kii aarzoo me.n gulistaa.N tak aa gaye

rafta rafta rang laya jazba khamoosh-e-ishq
vo taghaful kerte kerte imtehaaN tak aa gaye

Khud tumhe.n chaak-e-girebaa.N kaa shauur aa jaayegaa
tum vahaa.N tak aa to jaao ham jahaa.N tak aa gaye

aaj QABIL maikaday mai inqelaab aane ko hai
ahl-e-danish andeshai-e-sood-o-ziyaaN tak aa gaye


_________________________________________________________________

Poet : Qabil Ajmairi
Singer : Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

Ajnabi shahar ke ajnabi raaste

Ajnabi shahar ke ajnabi raaste, meri tanhai par muskrate rahe
Main bahut door tak yoon hee chalta raha, tum bahut door tak yaad aate rahe

Zahar milta raha zahar peete rahe, Roz marte rahe roz jeete rahe
Zindagi bhee hamein aazmaati rahi, aur hum bhee ise azmaate rahe

Ik din aisaa hua main bahut thak gaya, sab kuchh sun ke bhee ansunee kar gaya
kitni yaadon ke bhake huai karvan, dil ke zakhamon ke dar khaRh khaRhate rahe

Zakham jab bhee koi zahan-o-dil pe laga, zindagi ki taraf ik dareecha khulaa
Goya hum bhee kisi saaz ke taar the, chot paRhti rahi gungunate rahe

Akela bechaaraa main aur har simat hai, is jahan kee junoon-o-fasanagiri
Itne ilzaam mujh par lagaaye gaye, ki begunaahi ke andaaz jaate rahe

garaj baras pyaasii dhartii par

garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
chi.Diyo.n ko daanaa, bachcho.n ko gu.Dadhaanii de maulaa

do aur do kaa jo.D hameshaa chaar kahaa.N hotaa hai
soch samajhavaalo.n ko tho.Dii naadaanii de maulaa

phir roshan kar zahar kaa pyaalaa chamakaa naii saliibe.n
jhuuTho.n kii duniyaa me.n sach ko taabaanii de maulaa

[saliibe.n=Christian cross; taabaanii - brightness]

phir muurat se baahar aakar chaaro.n or bikhar jaa
phir ma.ndir ko koii miiraa diivaanii de maulaa

tere hote koii kisii kii jaan kaa dushman kyo.n ho
jiinevaalo.n ko marane kii aasaanii de maulaa
--------------------------

Poet : Nida Fazli
Singer : Jagjit Singh
Album : Insight

Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De

Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De

Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe
Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De
(Qataawaar = Guilty )

Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut
Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De
(Roshnaayee = Ink)

Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De

-------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Album : Hope

kab tak yuN bahaaroN meN

kab tak yuN bahaaroN meN patjhaD ka chalan hogaa
kaliyoN kii chitaa hogii faloN ka havan hogaa

har dharm kii ramaayan yug-yug se ye kahtii hai
sone ke harin hoNge siitaa kaa haran hogaa

jab pyaar kisii dil kaa pujaa meN badal jaaye
har saaNs duaa hogii har shabd bhajan hogaa

jine kii kalaa humne sikhii hai shahiidoN se
hoNtho pe ghazal hogii jab sir par kafan hogaa

is ruup kii bastii meN kyaa maal khariidoge?
patThar ke hirdaye hoNge shiishe ka badan hogaa

yamunaa ke kinaare pe har diip jo jaltaa hai
wo aur nahii kuchh bhii raadha kaa nayan hogaa

saNkat ke andhero meN tum aas nahii cho.Rho
har raat kii mutThii meN suraj kaa ratan hogaa

majdur ke maathe kaa kehtaa hai pasiinaa bhii
mahlo meN parlay hogii kutiyaa meN jashan hogaa

ab desh kii lakshmii ko luutegaa koii kaise
jab shatrru kii chhaati pe Angad ka charan hogaa

vigyaan ke bhaktoN ko ab kaun ye samjhaaye?
vardaan se apne hii dashrath ka maran hogaa

insaan kii surat meN jab bhe.Rhiye phirte hoN
tab 'Hansh' kaho kaise duniyaa meN aman hogaa


------------------------------------------
Poet : UdayBhanu 'Hans'

Niyyat-e-shauq bhar na jae kaheen

Niyyat-e-shauq bhar na jae kaheen
Tu bhee dil se utar na jae kaheen

Aaj dekha hai tujh ko der ke baad
Aaj ka din guzar na jae kaheen

Na mila kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jae kaheen

Aarzoo hai ke tu yahan ae
Aur phir umar bhar na jae kaheen

Ji jalata hoon aur sochta hoon
Raigan yeh hunar na jae kaheen

Ao kuch der ro hee lein nasir
Phir yeh darya utar na jae kaheen


----------------------------------------
Poet : Nasir Kazmi