Friday, March 30, 2007

Ghair leiN mehfil meiN bose jaam ke

Ghair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGhaam ke
(bosa= kiss, tishna = thirsty)

Khastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathdanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke
(Khastagee = injury/sickness, hathkanDe = tactics,
charkH-e-neelee_faam = blue sky)

KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'ehraam ke
(zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy.
subh_dam = at dawn, 'ehraam = dress for hajj)

dil ko aaNkhoN se fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke
(halqa = circle, daam = net/trap)

shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hamaam ke
(ghusl = bath, sehat = health, hamaam = masseur who gives a hot bath)

ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the' kaam ke

No comments: