Friday, March 30, 2007

kab tak yuN bahaaroN meN

kab tak yuN bahaaroN meN patjhaD ka chalan hogaa
kaliyoN kii chitaa hogii faloN ka havan hogaa

har dharm kii ramaayan yug-yug se ye kahtii hai
sone ke harin hoNge siitaa kaa haran hogaa

jab pyaar kisii dil kaa pujaa meN badal jaaye
har saaNs duaa hogii har shabd bhajan hogaa

jine kii kalaa humne sikhii hai shahiidoN se
hoNtho pe ghazal hogii jab sir par kafan hogaa

is ruup kii bastii meN kyaa maal khariidoge?
patThar ke hirdaye hoNge shiishe ka badan hogaa

yamunaa ke kinaare pe har diip jo jaltaa hai
wo aur nahii kuchh bhii raadha kaa nayan hogaa

saNkat ke andhero meN tum aas nahii cho.Rho
har raat kii mutThii meN suraj kaa ratan hogaa

majdur ke maathe kaa kehtaa hai pasiinaa bhii
mahlo meN parlay hogii kutiyaa meN jashan hogaa

ab desh kii lakshmii ko luutegaa koii kaise
jab shatrru kii chhaati pe Angad ka charan hogaa

vigyaan ke bhaktoN ko ab kaun ye samjhaaye?
vardaan se apne hii dashrath ka maran hogaa

insaan kii surat meN jab bhe.Rhiye phirte hoN
tab 'Hansh' kaho kaise duniyaa meN aman hogaa


------------------------------------------
Poet : UdayBhanu 'Hans'

No comments: