banaa gulaab to kaantay chubhaa gayaa ik shakhs
huvaa chiraagh to ghar hii jalaa gayaa ik shakhs
tamaam rang meray aur saarai khavaab meray
fasaanaa kah kay fasaanaa banaa gayaa ik shakhs
main kis havaa main uRhuun kis fazaa main laharaa_uun
dukhon kay jaal har-suu bichhaa gayaa ik shakhs
palut sakuun main, na aagay badh sakuun jis par
mujhay yeh kaun sey rustay lagaa gayaa ik shakhs
muhabbatain bhii ajiib us kii nafaratain bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh main samaa gayaa ik shakhs
vo mahataab thaa, marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs
khulaa ye raaz ke aa_iinaa-khaanaa hai duniyaa
aur is main mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shakhs
------------------------------------------------
Poet : Obaidullah Aleem
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment