yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi
wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
No comments:
Post a Comment