Friday, March 30, 2007

hairato.n ke sil-sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye

hairato.n ke sil-sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye
ham nazar tak chaahate the tum to jaa.N tak aa gaye

na.muradi apni qismat gumrahi apna naseeb
karwaN ke khair ho hum karwaN tak aa gaye

un kii palako.n per sitaare apane ho.nTho.n pe ha.Nsii
qissaa-e-Gam kahate kahate ham kahaa.N tak aa gaye.

apni apni justuju hai apna apna shouq hai
tum haNsi tak bhe na poNhche hum fugaaN tak aa gaye

zulf me.n Khushbuu na thii yaa ra.ng aariz me.n na thaa
aap kis kii aarzoo me.n gulistaa.N tak aa gaye

rafta rafta rang laya jazba khamoosh-e-ishq
vo taghaful kerte kerte imtehaaN tak aa gaye

Khud tumhe.n chaak-e-girebaa.N kaa shauur aa jaayegaa
tum vahaa.N tak aa to jaao ham jahaa.N tak aa gaye

aaj QABIL maikaday mai inqelaab aane ko hai
ahl-e-danish andeshai-e-sood-o-ziyaaN tak aa gaye


_________________________________________________________________

Poet : Qabil Ajmairi
Singer : Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

No comments: