Ajnabi shahar ke ajnabi raaste, meri tanhai par muskrate rahe
Main bahut door tak yoon hee chalta raha, tum bahut door tak yaad aate rahe
Zahar milta raha zahar peete rahe, Roz marte rahe roz jeete rahe
Zindagi bhee hamein aazmaati rahi, aur hum bhee ise azmaate rahe
Ik din aisaa hua main bahut thak gaya, sab kuchh sun ke bhee ansunee kar gaya
kitni yaadon ke bhake huai karvan, dil ke zakhamon ke dar khaRh khaRhate rahe
Zakham jab bhee koi zahan-o-dil pe laga, zindagi ki taraf ik dareecha khulaa
Goya hum bhee kisi saaz ke taar the, chot paRhti rahi gungunate rahe
Akela bechaaraa main aur har simat hai, is jahan kee junoon-o-fasanagiri
Itne ilzaam mujh par lagaaye gaye, ki begunaahi ke andaaz jaate rahe
No comments:
Post a Comment