1. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?
[ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,
roz = day, maah = month, saal = year ]
2. fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?
[ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]
3. thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?
[ tasavvur = imagination/khayaal, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]
4. 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?
[ haal = spiritual ecstasy ]
5. fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?
[ wabaal = calamity ]
--------------------------------------------------------
Poet : Mirza Ghalib
Singer : Jagjit Singh
Album : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment