Kisi Ranjish ko hawa do
     ke main zinda hoon abhi
Mujhko ehsaas dila do
     ke main zinda hoon abhi   
Mere rukne se
     meri saansein bhi ruk jayeingi
faasle aur badha do
     ke main zinda hoon abhi
zehar peene ki
     to aadat thi zamaane walo
Abh koi aaur dawa do
     ke main zinda hoon abhi
Chalti rahon mein
    yoon hi aankh lagi hai Faqie
bheed logo ki hata do
    ke main zinda hoon abhi
No comments:
Post a Comment