Monday, June 05, 2006

Tere barein mein jabh soncha nahi thaa

Tere barein mein jabh soncha nahi thaa.
Main tanha thaa magar itna nahi thaa.
Teri tasveer se karta thaa batein
Mere kamre mein aaina nahi thaa
Samandar ne bhi mujhe pyasa he rakha
Mein jabh sehra mein thaa pyasa nahi thaa
Roothne manane ke iss khel mein hum
Yoon bichad jayeinge soncha nahi thaa
Suna hai kal usne kar li bandh aankhen
Waise bhi kai raton se woh soya nahi thaa

No comments: