Monday, June 05, 2006

Apne honthon par

Apne honthon par sajana chahta hoon..
aa tujhe mein gungunana chahta hoon..

koi aansoo tere daman par gira kar..
boondh ko moti banana chahta hoon..

Thakk gaya mein karte karte yaad tujhko..
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon...

Aakhiri hichhki tere zaano' pey aaye..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..

No comments: