Friday, June 09, 2006

jawan hain raat

jawan hain raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to bhuja sharaab la sharaab la

tere shabab par sada karam rahey bahaar ka
tujhay lage meri dua sharaab la sharaab la

yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mitaa dey naam hosh ka sharaab la sharaab la

tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la

No comments: