Sunday, June 11, 2006

Kahin Aisa na ho daman jala lo

Kahin Aisa na ho daman jala lo
Humare Aansuon par khaak dalo

Manana bhi zaroori hai to fhir tum
Humein sabh se khafha ho kar mana lo

Bahut royi hui lagti hain Aankhein
Meri khatir zara kajal laga lo

Akelepan se khauff aata hai mujhko
Kahan ho aae mere khwabo-khayalo

Bahut maayoos baitha hoon main tumse
Kabhi aakar mujhe hairat mein daalo

3 comments:

Piyush Soni said...

Hi ! Very good work! Could you please tell who is the lyricist of this song "Kaheen aisa na ho daaman jala lo" ...

Thanks !

Anonymous said...

The poet is Liaquat Ali Asmi

Anonymous said...

Its really fabulous shayeri