Awaara hai galiyo.n mein, Main aur meri tanhayee
Jaye.n to kaha.n jaye.n, har maud pe ruswayee
Yeh phool se chehre hain, haste hue' guldaste'
koi nahi apna, be-gaane' sabh raste'
Rahe.n bhi tamashaaye, rahi bhi tamashaayee
Armaan sulagte hain seene' mein, chitta jaise
qatil nazar aati hai, duniya ki hawa jaise
rotee hai mere dil par, bajti hui sehnayee
Aakaash ka maathey par, taron ka charag-an hai
pehlu mein magar mere, zakhmon ka gulista.n hai
Aankho.n se lahoo tapka, daman mein bahaar aayi
--------------------------------------------------
Poet : Ali Sardar Jafri
Singer : Jagjit Singh
Album : Awaaz
No comments:
Post a Comment