Monday, June 05, 2006

Mujhko yakeen hai sacch kehti thee

Mujhko yakeen hai sacch kehti thee,
jo bhi Ammi kehti theein.
Jabh Mere bachpann ke din they,
Chand pe pariyan rehti thein..

Ek yeh din jabh apno ne bhi
humse Naata tod liya
Ek woh din jabh Ped ki shakhein
bhoj humara sehti theein.

ek yeh din jabh saari sadkein
roothi roothi lagti hain
ek woh din jabh
aao khelein saari galiyaan kehti theein

Ek yeh din jabh jaagi ratein
Deewaron ko takti hain..
Ek woh din jabh shyaamon' ki bhi
palkein bhojal rehti theein

Ek yeh din lakhoon gumm
aur akaal pada hai aansoon ka
Ek woh din jabh Ek
zaraa se baat pe nadiyaan behtein theein..

Mujhko yakeen hai sacch kehti thee,
jo bhi Ammi kehti theein.
Jabh Mere bachpann ke din they,
Chand pe pariyan rehti thein..

No comments: