kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH
     mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH
     main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN
     muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH
     kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland
     jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH
     bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth
     guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH
No comments:
Post a Comment