Tuesday, June 06, 2006

Baat nikalegi to fhir

Baat nikalegi to fhir doooor talak jayegi
Log bewajha udaasi ka sabab poochenge
Yeh bhi Poochenge ki tum itni pareshaan kyoon ho

Ungliyan uthengi sookhe hue baalon ki taraf
Ikk nazar dekhenge guazre hue saalon ki taraf
Choodiyon par bhi kae tanz kiye jayeinge
Kaanpte hue haathon pe bhi fikre kasse jayeinge

Log zalim hain, har ikk baat ka taana denge
Baton baton mein mera zikr bhi le aayenge
Baton baton mein mera zikr bhi le aayenge
Unki Baaton ka zara sa bhi asar mat lena
Warna chehre ke tasur se samajh jayeinge

Chahe kucch bhi ho, sawalaat na karna unse
Chahe kucch bhi ho, sawalaat na karna unse
Mere barein mein koi baat na karna unse

Baat nikalegi to fhir dooor talak jayeegi

No comments: