Friday, March 30, 2007

Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun

Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun,
Bazaar se guzra hun, kharidaar nahin hun.

Zinda hun magar zeest ki lazzat nahin baaqi,
Har chand keh hun hosh mein, hushiyar nahin hun.

Is khana-e-hasti se guzar jaaunga be-laus,
Saaya hun faqt, naqsh-ba-deewar nahin hun.

Woh gul hun khizaan ne jise barbaad kiya hai,
Uljhun kisi daaman se, main woh khaar nahin hun.

Yaarab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se,
Main uski inaait ka talabgaar nahin hun.

Go daawa-e-taqwa nahin dargaah-e-Khuda mein,
But jus se hon khush aisa gunahgaar nahin hun.

Afsudagi-o-zauf ki kuchh had nahin, Akbar,
Kaafir ke muqaabil mein bhi deendar nahin hun.


----------------------------------------------
Poet : Akbar Allahabadi

3 comments:

geetika said...

beautiful..have heard it sung innumberable times by k l saigal but reading it gives a different kick altogether..

Unknown said...

Kal raat suna ek dafa phir aur kahin daraazon mein mauzood hain Sehgal bhi taham 2007 ke baad koi halchal hi nahi aapke safe par ? Koshshien hoti hain kaamyaab, likhte rahiye. Rks (mp_rks@hotmail.com)

panseyhaddock said...

TIGER SPINMATIC COAST - Titanium-Arte
The titanium trim hair cutter reviews TIGER SPINMATIC COAST titanium cerakote is a 2.3x3.5mm wide (2-2-2.9in) high-performance ffxiv titanium nugget sunscreen made with platinum-reducing platinum that is applied to $59.00 · titanium vs stainless steel ‎In titanium strength stock