Friday, March 30, 2007

Agar hum kahen aur woh muskra dey

Agar hum kahen aur woh muskra dey,
Hum unkay liyey zindgaani luta dey,
Har ik mod par hum gamon ko saza dey,
Chalo zindagi ko mohabbat bana dey !

Agar khud ko bhoolay, to kuch bhi na bhoolay,
Ki chaahat mein unki khuda ko bhula dey !

Kabhi gham ki aandhi jinay choo na payey,
Wafaon kay hum woh nash-e-man bana dey !


Qayaamat kay deewanay kehtay hain humsay,
Chalo unkay chehray say parda hata dey !


Saza dey sila dey, bana dey mita dey,
Magar woh koi faisla to suna dey !

1 comment:

Anonymous said...

bhot umda andaze- shaire hay apki,,,
agar hum kahen aur wo muskara dain..dil ko cho janay wali baat hay..
from ruby..
karachi.>