Friday, December 22, 2006

Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai

Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein guzar na paati to shaadab ho bhi
sakti thi

Yeh ranj-o-gham ki siyahee jo dil pay chhayee hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka...................
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ki tu nahin tera gham teri justjoo bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
Isay kisi kay saharay ki aarzoo bhi nahin

Na koi rah na manzil na roshni ka surag
Bhatak rahi hai andheron mein zindagi meri
Inhee andhero mein rah jaaoonga kabhi kho kar
Main jaanta hoon meri hum-nawaz..........
Main jaanta hoon meri hum-nawaz, magar yun hi
Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai
Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai

--------------------------------------------
Sahir Ludhianvi
Film - Silsila

1 comment:

Ansh said...

well .. it was something i wrote for a writing excercise!