Sitaro se aage jahaan aur bhi hein
Abhi ishk ke imtihaan aur bhi hein
Tahi zindagi se nahi yeh fizaayein
Yaha saikdooN kaarvaaN aur bhi hein
Kinaat na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hein
(Kinaat=contentment)
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Makaamat-e-aah-o-fagaaN aur bhi hein
Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaaN aur bhi hein
Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa
Ke tere zamaano-o-makaaN aur bhi hein
Gaye din ki tanha tha mein anjuman mein
Yaha ab mere razdaan aur bhi hein
No comments:
Post a Comment