Friday, December 22, 2006

mushkil kabhii aisii to na thii

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
be-qaraarii tujhe ae dil kabhii aisii to na thii

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho gaii qaatil kabhii aisii to na thii

unakii aa.Nkho.n ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu
ke tabiiyat merii maa_il kabhii aisii to na thii

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis ke hai tujhe chamakaayaa
taab tujh me.n mah-e-kaamil kabhii aisii to na thii

kyaa sabab tuu jo biga.Dataa hai 'Zafar' se har baar
Khuu terii huur-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii

----------------------------------------------------
Poet : Bahadur Shah Zafar

No comments: