Friday, December 22, 2006

Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai

Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein guzar na paati to shaadab ho bhi
sakti thi

Yeh ranj-o-gham ki siyahee jo dil pay chhayee hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka...................
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ki tu nahin tera gham teri justjoo bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
Isay kisi kay saharay ki aarzoo bhi nahin

Na koi rah na manzil na roshni ka surag
Bhatak rahi hai andheron mein zindagi meri
Inhee andhero mein rah jaaoonga kabhi kho kar
Main jaanta hoon meri hum-nawaz..........
Main jaanta hoon meri hum-nawaz, magar yun hi
Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai
Kabhi-kabhi merey dil mein khayaal aata hai

--------------------------------------------
Sahir Ludhianvi
Film - Silsila

mushkil kabhii aisii to na thii

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
be-qaraarii tujhe ae dil kabhii aisii to na thii

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho gaii qaatil kabhii aisii to na thii

unakii aa.Nkho.n ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu
ke tabiiyat merii maa_il kabhii aisii to na thii

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis ke hai tujhe chamakaayaa
taab tujh me.n mah-e-kaamil kabhii aisii to na thii

kyaa sabab tuu jo biga.Dataa hai 'Zafar' se har baar
Khuu terii huur-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii

----------------------------------------------------
Poet : Bahadur Shah Zafar

kuchh to duniyaa ki inaayaat

kuchh to duniyaa ki inaayaat ne dil to.D diyaa
aur kuchh talKhii-e-haalaat ne dil to.D diyaa

ham to samajhe the ke barsaat me.n barasegii sharaab
aayii barsaat to barsaat ne dil to.D diyaa

dil to rotaa rahe, or aa.Nkh se aa.Nsuu na bahe
ishq kii aisii rawaayaat ne dil to.D diyaa

wo mere hai.n, mujhe mil jaaye.nge, aa jaaye.nge
aise bekaar Khayaalaat ne dil to.D diyaa

aap ko pyaar hai mujh se ke nahii.n hai mujh se
jaane kyo.n aise sawaalaat ne dil to.D diyaa

-----------------------------------------------
Poet :Sudarshan Fakir

ishq me.n jaa.N se guzarate

ishq me.n jaa.N se guzarate hai.n guzarane vaale
maut kii raah nahii.n dekhate marane vaale

aaKhirii vaqt bhii puraa na kiyaa vaadaa-e-vasl
aap aate hii rahe mar gaye marane vaale

[vaadaa-e-vasl=promise to meet]

uThe aur kuuchaa-e-mahabuub me.n pahu.Nche aashiq
ye musaafir nahii.n raaste me.n Thaharane vaale

[kuuchaa-e-mahabuub=the street where one's beloved stays]

jaan dene kaa kahaa mai.n ne to ha.Ns kar bole
tum salaamat raho, har roz ke marane vaale

aasmaa.N pe jo sitaare nazar aaye "Ameer"
yaad aaye mujhe daaG apane ubharane vaale

Shaam se aankh mein nami

Shaam se aankh mein nami si hai
Aaj phir aap ki kami si hai

Dafhn kardo hamen ki saans mile
Nabz kuch der se thami si hai

Wakt rukta nahin kahin tik kar
Iski aadat bhi aadmi si hai

Koi rishta nahin raha phir bhi
Ek tasalleem laazimi si hai

--------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Gulzar
Album : Marasim

Sitaro se aage jahaan aur bhi hein

Sitaro se aage jahaan aur bhi hein
Abhi ishk ke imtihaan aur bhi hein

Tahi zindagi se nahi yeh fizaayein
Yaha saikdooN kaarvaaN aur bhi hein

Kinaat na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hein
(Kinaat=contentment)

Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Makaamat-e-aah-o-fagaaN aur bhi hein

Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaaN aur bhi hein

Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa
Ke tere zamaano-o-makaaN aur bhi hein

Gaye din ki tanha tha mein anjuman mein
Yaha ab mere razdaan aur bhi hein

ibn-e-mariyam huaa kare koii

ibn-e-mariyam huaa kare koii
mere dukh kii davaa kare koii
[ibn=son; mariyam=The Virgin Mary]

shuraa-o-aa_iin par madaar sahii
aise qaatil kaa kyaa kare koii
[shuraa=the Islamic divine code of life; aa_iin=law]
[madaar=circumference / place of turning ]

chaal jaise ka.Dii kamaa.N kaa tiir
dil me.n aise ke jaa kare koii
[jaa=space ]

baat par vaa.N zubaan kaTatii hai
vo kahe.n aur sunaa kare koii

bak rahaa huu.N junuu.N me.n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
[junuu.N=ecstasy]

na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii
[baKhsh=pardon, Khata=mistake]

kaun hai jo nahii.n hai haajatama.nd
kisakii haajat ravaa kare koii
[haajatama.nd=person in need; haajat=need; ravaa=fulfill]

kyaa kiyaa Khijr ne sika.ndar se
ab kise rahanumaa kare koii

jab tavaqqo hii uTh gayii "Ghalib"
kyo.n kisii kaa gilaa kare koii
[tavaqqo=expectations; gilaa=complaint]

Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain

Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain,
Jisko dekha hi nahin usko khuda kehtay hain !

Faasiley umar kay kuch aur bada deti hai,
Jaaney kyon log usey phir bhi dava kehtay hain !

Chand masoom say patton ka lahoo hai `Fakir',
Jisko mahboob kay hathon ki heena kehtay hain !

Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain,
Jisko dekha hi nahin usko khuda kehtay hain !

--------------------------------------------------
Poet : Sudarshan Fakir

yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh daage

yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh daage
kisse kya khabhar hai kahan toot jayein
mohabat ke darya mein tinke wafa ke
na jaane yeh kiss mod par doob jayein

ajab dil ki waadi, ajab dil ki basti
har ikk moud ikk mausam nayi khwaisho ka
lagaaye hain hum ne bhi sapnon ke paudhe
magar kya bharosaa yahaan baarishon ka

muraadon ki manzil ke sapnon mein khoye
mohabbat ki raahon pe hum chal pade theyy
zarra door chal kar jabh aankhein khuli to
kaddi dhoop mein hum akele khade' theyy

jinhe dil se chaaha, jinhe dil se poojaa
nazar aa rahe hain wohi ajnabi se
rawaayat hai shaayad yeh sadiyon puraani
shikaayat nahin hai koyee zindagi se


-------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Sudharshan Fakir
Album : Ghazal Greats - Jagjit Singh/Ghulam Ali

suu-e-maikadaa na jaate

suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
[muattar=full of itr]

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii

Yeh Faasle Teri Galiyon Ke

Yeh Faasle Teri Galiyon Ke Hamse Tai Na Huye
Hazaar Baar Ruke Hum, Hazar Baar Chale

Na Jaane Kaun Si Mittee Watan Ki Mittee Hai
Nazar Mein Dhool Jigar Mein Liye Qaraar Chale

Ye Kaisi Sarhadein Hein Uljhee Huee Pairoon Mein
Hum Apne Ghar Ki Taraf Ruk Ke Baar Baar Chale



----------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Gulzar
The Ghazal is from film "Mammo" -directed by Shyam Benegal