jaane waale teri tasvir bhi le ja mujhse,
lut raha huN to ye jaagir bhi le ja mujhse.
lautkar phir kabhi aavaaz na dena mujhko,
pyaar karne kaa ye andaaz na dena mujhko,
haath meiN tutaa huaa saaz na dena mujkho,
tere khat teri ye tahreer bhi le ja mujhse.
ab mera aur meri maNzil kaa thikaana kya hai,
mujhse mat pooch ke jeene ka bahaana kya hai,
tu nahiH hai to zamaane ko dikhaana kya hai,
cheen kar ab meri taqdeer bhi le ja mujhse.
jaane kal kya ho teri aas rahe ya na rahe,
dil meiN ye daulat-e-ahsaas rahe ya na rahe,
zindagi meri mere paas rahe ya na rahe,
khaab tuta hai to taabeer bhi le ja mujhse.
jaane waale teri tasveer bhi le ja mujhse.
2 comments:
Bahut hi pyaari Ghazal hai, Dil ko chhuti huee...
Main iss Ghazal bar bar padhta hoon aur har bar mujhe ek naya mazaa deti haim Bhaut Aalaaaa Ghazal hai, Bahut pyaari Dil k bahut kareeb maloom padti hai...
Post a Comment