Saturday, October 14, 2006

Gham ka khazaana

Gham ka khazaana tera bhi hai, mera bhi
yeh nazraana tera bhi hai, mera bhi

Apne gham ko geet bana kar gaa lena
raag purana tera bhi hai, mera bhi

Tu mujhko aur main tujhko, samjha-un kya
dil dewaana tera bhi hai, mera bhi

Shehar mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsaana tera bhi hai, mera bhi

meh-khane' ki baat na kar, waiz mujh se
aana jaana tera bhi hai, mera bhi


----------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh/Lata Mangeshkar
Poet : Shahid Kabir
Album : Sajda Vol 1

No comments: