Saturday, October 14, 2006

Kachi deewaar hoon, thokar na

Kachi deewaar hoon, thokar na lagaana mujhko
Apni nazaron mein bassakar na giraana mujhko

Tum ko aankhon mein tassavur ki tarah rakhta hoon
Dil mein dhadkan ke tarah tum bhi basaana mujhko

Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein
main samajh jaoonga, nazaron se bataana mujhko

Wada utna hee karo, jitna nibha sakte ho
khwaab poora jo na ho, woh na dikhaana mujhko

Apne rishte ki nazakat ka bhram rakh lena
main to ashiq hoon, dewaana na banana mujhko



-------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Israar Ansari
Album : Tere Shehar Mein

Tu kahin bhi rahe, sar par tere ilzaam to hai

Tu kahin bhi rahe, sar par tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakeeron mein, mera naam to hai

Mujhko tu apna bana, ya na bana, teri khushi
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse' mein koi jaam na aaya, na sahi
teri mehfil mein mere naam, koi shaam to hai

Dekh kar logg mujhe naam tera lete hain
iss pe khush hoon, mohabbat ka yeh anjaam to hai


Woh sitamgar he sahi, dekh ke usko 'Sabir'
shukr hai iss dil-e-bemaar ko aaraam to hai


---------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Sabir Jalalabadi
Album : Tere Shehar mein

log har moad pe ruk ruk ke sambhalate kyooN heiN

log har moad pe ruk ruk ke sambhalate kyooN heiN
itanaa Darate heiN to phir ghar se nikalate kyooN heiN

meiN na juganoo hooN diyaa hooN na koi taaraa hooN
raushani vaale mere naam se jalate kyooN heiN

neend se meraa ta'alluq hee nahiN barasoN se
Khvaab aa aa ke meri chat pe tahalate kyooN heiN

moad hotaa hai jawaani kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahiN aake phisalate kyooN hein



-------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Rahat Indori

Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehne diya

Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehne diya
jaane' kyoon ruswayion ka silsila rehne diya

Umr bhar mere saath rehkar, woh na samjha dil ke baat
do dilon ke darmiyaan, ikk faasila rehne diya

Apni fitrat woh badal paaya na, isske bawajood
khatm ki ranjish magar fhir bhi gila rehne diya

main samajhta thaa khushi degi mujhe 'Sabir' fareb
iss liye maine' ghamo.n se raabita rehne diya


-----------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Sabir Jalalabadi
Album : Tere Sehar Mein

Woh apne chehre mein

Woh apne chehre mein, Sau aaftaab rakhte hain
Issi liye to woh rukh pe naqaab rakhte hain

Woh paas baithe' to aati hai dilruba khushboo
Woh apne honthon pe khilta gulaab rakhte hain

Har ikk waraq mein tum he tum ho jaan-e-mehboobi
Hum apne dil ki kuch aaisi kitaab rakhte hain

jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee de
hum apni aankh mein kitne Chenaab rakhte hain


--------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Hasrat Jaipuri
Album : Tere Sehar Main

Deewaar-o-Dar Pe Naqsh Banaane Se Kya Milaa

Deewaar-o-Dar Pe Naqsh Banaane Se Kya Milaa
Likh Likh Ke Mera Naam Mitaane Se Kya Milaa

Haan, Chaudhvi Ka Chaand Bhi Sharmaa Gayaa Zaroor
Ek Diljale Ke Dil Ko Jalaane Se Kya Milaaa

Aawaargi Sahi Hai Magar Yeh Bataaiye
Uski Gali Mein Aap Ko Jaane Se Kya Milaa

Chaaragari Se Jisko Adaawat Si Hai Usey
Dil Ke Hazaar Zaqm Dikhaane Se Kya Milaaa
(Chaaragari = Healing of wounds & pain)

Jo Ho Sake To Baatiye Apni Masarratein
Yeh Sochnaa Ghalat Ke Zamaane Se Kya Milaa
(Masarratein = Joys/Happiness)

-----------------------------------------------
Singer : Mehndi Hassan

Hum tere shehar main aaye

Hum tere shehar main aaye hain musafir ki tarah
Sirf ikk baar mulaqaat ka mauka de de

meri manzil hai kahan, mera thikana hai kahan
subaho tak tujh se bichhad kar mujhe jaana hai kahan
Sonchne ke liye ikk raat ka mauka de de

Apni aankhon mein chuppa rakhein hai jugnoo maine
Apni palko.n par sajha rakhe hain aansoon maine
meri aankhon ko bhi barsaat ka mauka de de

Aaj ki raat mera dard-e-mohabbat sun le
kupkupate hue honthon ki shikaayat sun le
aaj izhaar-e-khayalaat ka mauka de de

Bhoolna thaa to yeh ikraar kiya hee kyoon thaa
bewafa toone' mujhe pyaar kiya he kyoon thaa
sirf do-chaar sawalaat ka mauka de de

------------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Qaisar-Ul-Jafri
Album : Tere Shehar Main

Humein to abh bhi woh guzra zamaana yaad aata hai

Humein to abh bhi woh guzra zamaana yaad aata hai
tumhein bhi kya koi deewaana yaad aata hai

Hawa-en tez thee, barish bhi thee, toofan bhi thaa, lekin
tera aaise' mein bhi wada nibhana yaad aata hai

Guzar chukki thee bahut raat bato.n bato.n mein
fhir uthh ke woh tera shamma bhujaana yaad aata hai

ghatta-en kitni hee dekhi hain, par mujhe 'Israar'
kissi ka rukh pe woh zulfein giraana yaad aata hai



-------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Israar Ansari
Album : Tere Shehar Mein

Jabh Tera pyaar se likhti

Jabh Tera pyaar se likhti hain ungliyan
Mere taraf zaamane ki uthti hain ungliyan

daman sanam ka haath mein aaya thaa ek pal
Din raat uss hi pal se mehakti hain ungliyan

Jis din se dooor ho gaye, uss din se he sanam
bus din tumhare aane' ke ginti hai ungliyan

Pathar tarrash kar na bana Taj ikk nayaa
funkaar ki jahaan mein cut-ti hai ungliyan


------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Peot : Madan Pal
Album : Desires

Kaanton ki chubhan payi hai

Kaanton ki chubhan payi hai, phoolon ka mazza bhi
dil dard ke mausam main roya bhi, hansa bhi

Aane ka sabab yaad, na jaane' ki khabar hai
Woh dil mein raha aur usse todd gaya bhi

Har ek se manzil ka pata pooch raha hai
Gumraah mere saath hua rehnuma bhi

Gum naam jo apno se gum hue hassil
Kucch yaad rahe aur kucch bhool gaya bhi


----------------------------------------------
Singer : Chitra Singh
Poet : Gumnaam
Album : Desires

Ulfatt ka jabh kissi ne liya Naam , Rou Pade

Ulfatt ka jabh kissi ne liya Naam , Rou Pade
apni Waffa ka sonch ke anjaam , Rou Pade

har shyaam yeh sawal ki mohabbat se kya mila
har shyaam yeh jawabh, ki har shyaam Rou Pade

Raah-e-wafa mein humko khushi ki talaash thee..
Do gaam hee chale' theay ki har gaam Rou Pade

Rona neseeb main hai to aouron se kya gila
Apne hee sar liya koi ilzaam, Rou Pade



----------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Sudharshan Fakir
Album : Desires

Shame-e-mazaar thi na koi sogwaar thaa

Shame-e-mazaar thi na koi sogwaar thaa
Tum jis pe rou rahe theay, woh kisska mazaar thaa

Tadapoonga Umar bhar, dil-e-marhoom ke liye
kambhakht namuraad ladakpaan ka yaar thaa,..

Jaddo hai ya tilism, tumhari zubaan mein
Tum jooth keh rahe theay, Mujhe aitbaar thaa

kya kya Humare sajde' ki ruswayiyaan hueen
Nakshe-kadam kissi ka sar-rehguzaar thaa


--------------------------------------------

Singer : Jagjit Singh
Album : Desires
Poet : Bekhud

Yeh kaisi mohabbat, kahan ke fasaane'

Yeh kaisi mohabbat, kahan ke fasaane'
yeh peene' pilaane ke sabh hain bahane'

woh daman woh unka ke sunsaan sehra
buss humko to akhir hain aansoon bahane

yeh kisne mujhe mast nazaron se dekha
laggey khud ba khud kadam ladhkhadaane

Chalo tum bhi 'Gumnaam' abh meh-kade' mein
tumhe dafn karne hai kayi gumm puraane'



----------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Gumnaam
Album : Desires

Baat saaqi ki na taali jayegi

Baat saaqi ki na taali jayegi
Kar ke tauba todd dali jayegi

Dekh lena woh na khaali jayegi
Aah jo dil se nikaali jayegi

Agar yehi tarz-e-fugaan hai Andli
Tu bhi Gulshan se nikaali jayegi

Aate aate aayega unko khayaal
Jaate jaate be-khayali jayegi

Kyoon nahi milti gale se tere Naaz
Eid kya abh ke bhi khaali jayegi

--------------------------------------
Singer : Jagjit Singh/Chitra Singh
Poet : Jaleel
Album : Desires

Gulshan ki faqat phoolon se nahi

Gulshan ki faqat phoolon se nahi
Kaanton se bhi zeenat hoti hai
Jeene ke liye Iss duniya mein
gumm ki bhi Zaroorat hoti hai

Aae waIz-e-nadaan karta hai
tu ek qayamat ka charcha
Yahan roz nighain milti hai
yahan roz qayamat hoti hai

Woh pur-sishh-e-gumm ko aayein hai
Kucch keh na sakoon Chup reh na sakoon
Khamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai

Karna hee padega zabt-e-alam
Peene hi padeinge yeh aansoon
Faryaad-o-fugaan se ae nadaan
Tauheen-e-mohabbat hoti hai

Jo Aake rukke daman pe Sabah
Woh ashq nahi paani hai
Jo Ashq na chalke aankhon se
Uss Ashq ki keemat hoti hai

-Jagjit Singh
Album : DESIRES
Poet : Saba Afghani

Dhoop mein niklo

Dhoop mein niklo, ghattaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai, kitaabo.n ko hatta kar dekho

woh sitara hai, chamakne do yun he aankhon mein
kya zaroori hai, usse jism bana kar dekho

pathar-on mein bhi zubaan hoti hai, dil hote hain
apne ghar ke dar-o-dewaar sajja kar dekho

Fasla nazron ka dokkha bhi to ho sakta hai
woh mile ya na mile, haath bada kar dekho


--------------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Nida Fazli
Album : Sajda Vol 1

Jo bhi burra bala hai, allah jaanta hai

Jo bhi burra bala hai, allah jaanta hai
bande' ke dil mein kya hai, allah jaanta hai

Yeh farsh-o-arsh kya hai, allah jaanta hai
pardo.n mein kya chippa hai, allah jaanta hai

ja kar jahan se koi wapas nahi hai aata
woh kaun se jagah hai, allah jaanta hai

neki badhee ko apne kitna hee chipaaye'
allah ko pata hai, allah jaanta hai

yeh dhoop chau.n dekho, yeh subah-shaam dekho
sabh kyoon yeh ho raha hai, allah jaanta hai

kismat ke naam ko to sabh jaante hain, lekin
kismat mein kya likha hai, allah jaanta hai



---------------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh/Lata Mangeshkar
Poet : Akhtar
Album : Sajda Vol 1

Duniya jisse kehte hain, Jaddoo ka khilona hai

Duniya jisse kehte hain, Jaddoo ka khilona hai
Mil jaye to mitti hai, kho jaye to sona hai

Accha sa koi mausam, tanha sa koi aalum
har waqt ka rona to bekaar ka rona hai

barsaat ka badal to dewaane hai, kya jaane'
kiss rah se bachna hai, kiss chatt ko bigona' hai

gum ho ke khushi, dono kuch deear ke saathi hain
fhir rasta he rasta hai, hans.na hai na rona hai

--------------------------------------------
Singers : Jagjit Singh/Chitra Singh

Ishq mein gairat-e-jazbaat ne ronne' na diya

Ishq mein gairat-e-jazbaat ne ronne' na diya
warna kya baat thee, kiss baat ne ronne na diya

Yaar ko maine', mujhe yaar ne sonne na diya
raat bhar tala-e-bedaar ne sonne na diya

Aap kehte theey ki ronne se na badlenge naseeb
umr bharr aapki iss baat ne ronne na diya

ek shabb bulbul-e-betaab ke jaagey na naseeb
pehlu-e-gul ne, kabhi khwaab ne sonne na diya

Unn se milkar humein ronna thaa, bahut ronna thaa
tangee-e-waqt-e-mulaqaat ne ronne' na diya

Raat bhar kee dil-e-betaab ne batein mujhse
ranj-o-mehnat ke giraftaar ne sonne na diya

Ronne' walon se kaho, unka bhi ronna ro lein
jinko majboori-e-halaat ne ronne' na diya


-------------------------------------------------
Singers : Jagjit/Chita
Album : Best of Jagjit and Chitra

Tum nahi, gham nahi, sharaab nahi

Tum nahi, gham nahi, sharaab nahi
Aisi tanhayee ka jawaab nahi

gahe gahe isse padha keejiyee
dil se behtaar koi kitaab nahi

jaane kis kis ki maut aayi hai
aaj rukh pe koi naqaab nahi

Woh karam ungliyon pe ginte' hain
zulm ka jinke kucch hisaab nahi..


------------------------------------------
Singers : Jagjit Singh
Album : Best of Jagjit and Chitra

Uski hasrat hai jisse

Uski hasrat hai jisse' dil se mitta bhi na sakoon
dhoondhne usko chala hoon, jisse paa bhi na sakoon

Meharbaan ho ke bula lo mujhe chaho jiss waqt
main gaya waqt nahi ki fhir aa bhi na sakoon

daal kar khakkh mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehndi nahi meri, ke chuppa bhi na sakoon

zauk mein tana-e abh yaar ka shikwa kya hai
baat kuch sar to nahi hai, ke uthha bhi na sakoon

zabt kambhakt ne abh aake gala ghoonta hai
ke usse haal sunaoon to suna bhi na sakoon

zehar milta hee nahi mujhko sitamgar warna
kya kasam hai tere milne ki khaa bhi na sakoon

uske pehlu mein jo le jake sula doon dil ko
neendh aaisi usse aaye ke jaga bhi na sakoon



------------------------------------------------
Singers : Jagjit/Chita
Album : Best of Jagjit and Chitra

Tere jalwe' abh mujhe har su

Tere jalwe' abh mujhe har su nazar aane lage
kaash yeh bhi ho ki mujh mein tu nazar aane lage

Iftida yeh thee ki dekhi thee khushi ki ikk jalak
Intiha yeh hai ki gham har su nazar aane lage

bekarari badte badte dil ki fitrat ban gayi
shayad abh taskeen ka pehlu nazar aane lage

khatm kar de aye 'Saba', abh shaam-e-gham ki daastan
dekh unn ankhon mein bhi, aansoon nazar aane lage

-----------------------------------------------------
Singer : Lata Mangeshkar
Poet : Saba Afghani
Album : Sajda Vol 1

Dard Se mera daman bhar de

Dard Se mera daman bhar de, ya allah
fhir chahhe' dewaane kar de, ya allah

Maine tujh-se chand sitaare' kabh maange
Roshan dil, be-daar nazar de, ya allah

Sooraj si ikk cheez to hum sabh dekh chuke'
Sach-mucch ki abh koi sehar de, ya allah

Ya dharti ke zakhmo.n par marham rakh de
ya mera dil pathhar kar de, ya allah


------------------------------------------
Sung By - Lata Mangeshkar
Lyrics - Qateel Shifai
Album - Sajda Vol 1

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de, magar uss ke baad sehar na ho

Wo badda raheem-o-kareem hai, mujhe ye sipat bhi aata kare
Tujhe bhoolne ki dua karoo.n, to dua mein meri asar na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shabb ke phool ko choom ke
Yun he saath saath chale' sada, kabhi khatm apna safar na ho

Mera paas mere habib aaa, zaraa aur dil ke kareeb aaa
Tujhe dhadkano mein bassa loon mein, ke bichadne ka kabhi darr na ho



---------------------------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Lyrics : Bashir Badr
Album : Sajda Vol 1

Meri tasveer mein rang aur kissi ka to nahi

Meri tasveer mein rang aur kissi ka to nahi,
gaer le mujh ko sabh aankhein, Main tamasha to nahi

zindagi tujh se har ikk saans pe samjhota karoo.n
Shauk jeene' ka hai mujhko, magar itna to nahi

rooh ko dard mila, dard ko aankhein na mili
tujh ko mehsoos kiya hai, tujhko dekha to nahi

sonchte' sonchte' dil doobne lagta hai mera
zehan ki tehh mein 'Muzaffar' koi darya to nahi

--------------------------------------------------------
Singer : Lata Mangeshkar
Poet : Muzzafar Warsi
Album : Sajda Vol 1

ishq ki daastaan hai pyaare

ishq ki daastaan hai pyaare
apni apni zabaan hai pyaare

hum zamaane se inteqaam to le
ek haseen darmiyaan hai pyaare

too nahin main hoon main nahin too hai
ab kuchh aisaa ghumaan hai pyaare

rakh qadam phoonk phoonk kar naadaan
zarre zarre mein jaan hai pyaare


-------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Jigar Moradabadi
Album : Live with Jagjit Singh Vol 1

Gham ka khazaana

Gham ka khazaana tera bhi hai, mera bhi
yeh nazraana tera bhi hai, mera bhi

Apne gham ko geet bana kar gaa lena
raag purana tera bhi hai, mera bhi

Tu mujhko aur main tujhko, samjha-un kya
dil dewaana tera bhi hai, mera bhi

Shehar mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsaana tera bhi hai, mera bhi

meh-khane' ki baat na kar, waiz mujh se
aana jaana tera bhi hai, mera bhi


----------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh/Lata Mangeshkar
Poet : Shahid Kabir
Album : Sajda Vol 1

Kisko qatil main kahoon

Kisko qatil main kahoon, kisko maseeha samjhoon
Sabh yahan dost hee baitheyy hain, kisse kya samjhoon

woh bhi kya din theyy ki har wehum yakeen hota thaa
Abh haqeeqat nazar aaye to, usse kya samjhoon

Dil jo toota to kaye haath dua ko utthey
aesey mahol main abh kisko paraya samjhoon

zulm yeh hai ki hai yuk-tahh teri begaana-ravi
lutf yeh hai ki main abh tak tujhe apna samjhoon


----------------------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Album : Sajda Vol 1

Bawafaa bewafaa nahin hota

Bawafaa bewafaa nahin hota
khatam yeh fasla nahin hota

kuchh to majboorian rahi hongi
yoon koi bewafaa nahin hota

jee bahut chahta hai sach bollen
kya karen housla nahin hota

jyada pee kar bahkane lagte hain
kam piyen to nasha nahin hota

raat ka intzaar kaun kare
aajkal din mein kya nahin hota

Gaye dinon ka suragh lekar

Gaye dinon ka suragh lekar, kahan se aaya kahan se gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi thaa, mujhe to hairaan kar gaya woh

Bus ek moti si chabb dikha har, bus ek meethi si dunnh suna kar
sitara-e-shaam ban ke aaya, barang-e-khwaab-e-sehar gaya woh

Na abh woh yado.n ka chadta darya, na fursato.n ki uddas barkha
yoonhi zara si kasak hai dil mein, jo zakhm gehra thaa, bhar gaya woh

Woh hijr ki raat ka sitaaa, woh hum-nafas woh hum-sukhan humara
sada rahe uska naam pyaara, suna hai kal raat marr gaya woh


Woh raat ka be-nava musafir, woh tera shayar, woh tera 'Nasir'
teri gali tak to dekha thaa, fhir na jaane' kidhar gaya woh




______________________________________________________________________

Poet : Nasir Kazmi
Singer : Asha Bhosle/Ghulam Ali
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

mere theyy mere theyy

Raat jo toone deep bhujhaye, mere theyy mere theyy
Ashq jo tareekhi ne chupaaye', mere theyy mere theyy

kaif-e-bahraan, meher-e-nigaaran, lutf-e-junoon
mausam-e-gul ke mehke saaye, mere theyy mere theyy

Mere theyy woh khwab jo toone' cheen liye
geet jo honthon par murjhaye, mere theyy mere theyy

Anchal anchal, ghesho.n ghesho.n, chaman chaman
saari khushboo, meri sayee, mere theyy mere theyy

sahil sahil leharein jinko doondhti hain
maazi' ke woh mehke' saaye, mere theyy mere theyy



___________________________________________________________________________
Poet : Saleem Gilani
Singer : Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

tumm yaad aaye

Fhir sawan rut ki pawan chali, tumm yaad aaye
fhir patto.n ki pazeeb baji, tum yaad aaye

fhir koonje' boli ghass ke hare' samundar mein
rut aayi peeley pholo.n ki, tum yaad aaye

Pehle to main cheek ke roya, aur fhir hansne laga
badal garja, bijli chamki, tum yaad aaye

fhir kaaga bola ghar ke soone' aangan mein
fhir amrut ras ki boondh padi, tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dandhon mein khoya raha
jabh deewaro.n se dhoop dhali, tum yaad aaye



________________________________________
Poet : Nasir Kazmi
Singers : Asha Bhosle/Ghulam Ali
Album : Mehraj-E-Ghazal (Asha Bhosle Presented by Ghulam Ali) VOL-2

Dard jabh teri ata hai

Dard jabh teri ata hai, to gila kiss-se karein
Hijr jabh toone diya hai, to mila kiss-se karein

Aks bikhra hai tera toot ke aaine' ke saath
ho gayi zakhmi nazar, aks chuna kiss-se karein


Main safar mein hoon, mere saath judayee teri
humsafar hum hain to, fhir kisko juda kiss-se karein

khil uthhey gul, ya khiley dast-e-hennaye tere
har taraf tu hai to fhir tera pata kiss-se karein

tere labh, teri nighayein, tera aariz, teri zulf
Itne zinda hai to fhir iss dil ko riha kiss-se karein


________________________________________
Poet : Manzoor Ahmad
Singers : Asha Bhosle
Album : Mehraj-E-Ghazal (Asha Bhosle Presented by Ghulam Ali) VOL-2

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaao.n usse


Woh khaar khaar hain, shaakh-e-gulaab ki manind
Main zakhm zakhm hoon, fhir bhi gale' lagaoon usse

Yeh log taskire' karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon usse

Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
ajab nahi ki agar yaad bhi na aao.n usse


______________________________________________________________________
Poet : Ahmad Faraz
Singers : Asha Bhosle
Album : Mehraj-E-Ghazal (Asha Bhosle Presented by Ghulam Ali) VOL-2

hazaaroN KHwahishaiN 'eisee

hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle

magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle

huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle



-Mirza Ghalib

Yun Saja chand

Yun Saja chand, ke chhalka tere andaaz ka rang
yun faza mehki, ki badla mere humraaz ka rang

Saaya-e-chasm mein hairaan rukh-e-roshan ka jamaal
surkh-ye-labh mein pareshaan teri awaaz ka rang


be-piye hoke' agar lutf karo akhir-e-sabh
seesha-o-mey mein dhale' aagaaz ka rang

chang-o-nerang pe theyy apne lahoo ke dumm se
dil ne leyy badli to madhaamm hua har saaz ka rang



------------------------------------------------------------
Poet : Faiz Ahmad Faiz
Singer : Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

Mujh se bichhad ke khush rehte ho

Mujh se bichhad ke khush rehte ho
meri tarah tum bhi joothe' ho

Ikk tehni pe chand tika thaa.
main yeh samjha, tum baithe ho

Ujjle ujjle phool khile theyy
bilkul jaise tum hanste' ho

Mujhko shaam bata deti hai
tum kaise kapde pehne ho

Tum tanha duniya se laddoge
bachho.n si bate.n karte ho


----------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Album : Sehar

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hai

Woh na aaye to satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hai

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tasveer kahan hoti hai

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hai

Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hai

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hai


------------------------------------------

Poet : Sahir Ludhianvi
Singer : Jagjit/Chitra
Album : Best of Jagjit Singh/Chitra Singh

jaane waale teri tasvir bhi le ja

jaane waale teri tasvir bhi le ja mujhse,
lut raha huN to ye jaagir bhi le ja mujhse.

lautkar phir kabhi aavaaz na dena mujhko,
pyaar karne kaa ye andaaz na dena mujhko,
haath meiN tutaa huaa saaz na dena mujkho,
tere khat teri ye tahreer bhi le ja mujhse.

ab mera aur meri maNzil kaa thikaana kya hai,
mujhse mat pooch ke jeene ka bahaana kya hai,
tu nahiH hai to zamaane ko dikhaana kya hai,
cheen kar ab meri taqdeer bhi le ja mujhse.

jaane kal kya ho teri aas rahe ya na rahe,
dil meiN ye daulat-e-ahsaas rahe ya na rahe,
zindagi meri mere paas rahe ya na rahe,
khaab tuta hai to taabeer bhi le ja mujhse.

jaane waale teri tasveer bhi le ja mujhse.

Roodad-e-Mohabat kya kahiye

Roodad-e-Mohabat kya kahiye, Kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Do din ki masarrat kya kahiye, Kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Jabh jaam diya thaa saqi ne, jabh daur chala thaa mehfil mein
Woh hosh he saath kya kahiye, kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ehsaas ki meh-khane mein kahan, abh fikr-o-nazar ki kamdelein
alaam ki shidatt kya kahiye, kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Abh apni haqeeqat bhi 'Sagar', be-rabt kahani lagti hai
duniya ki haqeeqat kya kahiye, kuch yaad rahi kuch bhool gaye





--------------------------------------------------------------------

Poet : Sagar Siddiqui
Singer : Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

Dayar-e-dil ki raat mein

Dayar-e-dil ki raat mein, charagh sa jala gaya
Mila nahi to kya hua, woh shakkl to dikha gaya

Judai.yon ke zakhm, dard-e-zindagi ne bhar diye
Tujhe neendh aa gayi, mujh bhi sabr aa gaya

Yeh subah-o' ki safediyaa.n, yeh dopahar ki zardiya.n
abh aaine' mein dekhta hoon, main kahan chala gaya

Woh dosti to khair abh, naseeb-e-dushmana hui
woh chotti chotti rannjisho.n ka lutf bhi chala gaya

Yeh kis khushi ki reet par, ghamm-on ko neendh aa gayi
woh lehar kiss taraf gayi, yeh main kahan sama gaya



-------------------------------------------------------------

Poet : Nasir Kazmi
Singers : Ghulam Ali/Asha Bhosle
Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1

By Gulzar...

girheN
------

mujhko bhi tarkeeb sikhaa koi yaar julaahe !

aksar tujhko dekha hai ke taanaa bunte
jab koi taagaa toot gaya ya khatm hua
phir se baaNdh ke
aur siraa koi joR ke usmeiN
aage bunne lagate ho
tere is taane meiN lekin
ik bhi gaNth gireh buntar ki
dekh nahiN sakta hai koi

maineN to ik baar buna tha ek hi rishta
lekin uski saari girheN
saaf nazar aati haiN mere yaar julaahe !

-------------------------------------------------

davaiiya.n isliye peeti hu.n
ki marna aasaan ho jaye

Zindgi aur maut ek hi baat hai
zindgi hum jee nahi.n pate
Aur maut se hum mil nahi.n pate


--------------------------------------------------

Naam sochaa na tha, hai ki nahiN
'AmaN' kehke bula liya ik ne
'E Ji' kehke bulaya duje ne
'Abe O' yaar log keheteN haiN
jo bhi yooN jis kisi ke ji aaya
Usnay vaisay hi bas pukar liya.

TumneN Ik mod par achanak jab
Mujhko 'Gulzar' kehke di awaaz
ek sipi se khul gaya moti
Mujhko ek maani mil gaye jaisey.


--------------------------------------------------

Tamanaon ke behlave mein aksar

Tamanaon ke behlave mein aksar aa he jaate hain
kabhi hum chott khaate hai, kabhi hum muskurate hai

Hum aksar doston ki be-wafaaye seh to lete hain
magar hum jaante-hain, dil humare toot jaate hain

Kissi ke saath jabh beetey hue lamhon ki yaad aayi
thakki aankhon mein ashqo.n ke sitaarey jilmilate hain

Yeh kaisa ishtiyaq-e-deed hai, aur kaisi majboori
kissi ki bazm tak ja ja ke, hum kyoon laut aatey hain




-------------------------------------------------------
Poet : Roshan Nadan
Singer : Chitra Singh
Album : Awaaz

Jabh nahi aaye theyy tum

Jabh nahi aaye theyy tum, tabh bhi to tum aaye theyy
Aankh mein noor ki, aur dil mein lahoo ki soorat
Yaad ki tarha dadakte hue' dil ki soorat


Tum nahi aaye abhi, fhir bhi to tum aaye ho
Raat ke seene mein, mehtaab ke khanjar ki tarah
Subah ke haath mein, khursheed ke sagar ki tarah


Tum nahi aaogey jabh, fhir bhi to tum aaogey
Zulf dar zulf, bikhar jayega fhir raat ka rang
shab-e-tanhayee mein bhi lutf-e-mulakaat ka rang

Aaoo aaney ki karein baat, ke tumm aaye ho
Abh tum aaye ho to, main kaun se shayy nazar karoon
Ke mere paas siva meher-o-wafa ke kuch bhi nahi
Ek dil, ek tamanna ke siva kuch bhi nahi


----------------------------------------------
Poet : Ali Sardar Jafri
Singer : Jagjit Singh
Album : Awaaz

Hum to yun apni zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile,
ajnabi jaise ajnabi se mile

har wafa ek jurm ho goya
dost kuch aisee berukhi se mile

phool he phool humne maangey theyy
daag he daag zindagi se mile

jis tarah aap humse milte hain
aadmi yun na aadmi se mile


-----------------------------------------
Poet : Sudarshan Fakir
Singer : Jagjit Singh
Album : Awaaz

Baad muddat unhe dekh kar

Baad muddat unhe dekh kar yun laga
jaise betaab dil ko karaar aa gaya

Arzoo.n ke gul muskuraane' lagge
jaise gulshan me.n jaan-e-bahaar aagaya


Tishna' nazre' milli, shokkh nazron se jabh
Mey barasne' lagi, jaam bharne' laggey
Saqiya aaj teri zaroorat nahi,
bin piye, bin pilaaye khumaar aagaya

Raat sonn'e lagi, subah hone' lagi
shamma bhujne lagi, dil machalne lage
Waqt ki roshni mein nahayi hui
Zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya

Har taraf mastiyan, har taraf dil-kashi
muskurate' dilo.n mein khushi he khushi
Kitna chah-ha magar, fhir bhi uthhna saka
teri mehfil mein jo ek baar aagaya


----------------------------------------
Poet : Roshan Nadan
Singer : Jagjit / Chitra
Album : Awaaz

Sarakti jaye hai rukh se naqaab

Sarakti jaye hai rukh se naqaab, ahista ahista
nikalta aa raha hai aaftaab, ahista ahista

Jawa.n hone' laggey jabh woh to humse kar liya parda
Haya yak-lakth aayi aur hijaab ahista ahista

Shab-e-furkat ka jaaga hoon, farishto.n abh to sone' do
Kabhi fursat mein kar lena hisaab ahista ahista

Vo bedardi sarr kaate' ameer, aur main kahoon unnse'
Huzoor ahista ahistaa, jenaab ahista ahista



-------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Album : Unforgettables

Dil ke deewar-o-darr pe kya dekha

Dil ke deewar-o-darr pe kya dekha
bus tera naam he likha dekha

Teri ankhon mein humne kya dekha
kabhi qatil, kabhi khuda dekha

Apni soorat lagi paraayi see
jabh kabhi humne aaina dekha

Hai andaaz tere rukne kaa
waqt ko bhi ruka ruka dekha

Tere jaane mein aur aaney mein
Humne sadiyon ka faasla dekha

Fhir na aaya khayal jannat ka
jabh tere ghar ka raasta dekha



----------------------------------------
Poet : Sudharshan Fakir
Singers: Jagjit Singh / Chitra Singh
Album : Rare Moments

Uss moud se shuru karein

Uss moud se shuru karein, fhir yeh zindagi
har shaey[cheez] jahan haseen thee, hum tum theyy ajnabi


Le kar chale' theyy hum jinhe, jannat ke khwaab theyy
phoolo'n ke khwaab theyy, woh mohabbat ke khwaab theyy
lekin kahan hai inn mein woh pehli see dilkashi

Rehte theyy hum haseen khayalo.n ki bheed mein
uljhe hue' hain aaj sawalo.n ki bheed mein
aaney lagi hai yaad woh fursat ki har gadi

Shaayad yeh waqt humse koi chaal chal gaya
rishta wafa ka, aur hee rango.n mein dal gaya
ashq.on ki chaandni se thee, behhtar woh dhoop hi



Poet : Sudharshan Fakir
Singer: Jagjit/Chitra Singh
Album : Rare Moments

Chaand ko ruksat kar do

Mere darwaaze se abh Chaand ko ruksat kar do
saath aaya hai tumhare, jo tumhaare ghar se
Apne maathey (forehead) se hata do yeh chamakta hua taaj
phenk do jism se kiran-o ka sunheri zevar

Tum he tanha mere gham-khaane' mein aa sakti ho
ek muddaat se tumhare he liye rakha hai
Mere jalte hue seene' ka dehakta hua chaand


-----------------------------------
Poet - Ali Sardar Jafari
Singer - Jagjit Singh
Album - Awaaz

Naa mohabbat, na dosti ke liye

Naa mohabbat, na dosti ke liye
waqt rukta nahi kissi ke liye

Dil ko apne saza na de yoo.n hee
Iss zamaane' be-rukhi ke liye

Kal jawaani ka hashr kya hoga
sonch le aaj, do gadhi ke liye

Har koi pyaar doondhta hai yahan
Apni tanha see zindagi ke liye

Waqt ke saath saath chalta rahe
yeh hee behtar hai aadmi ke liye



-----------------------------------
Poet : Sudharshan Fakir
Singer : Jagjit Singh
Album : Awaaz

zindagi ki sehar

Shayad main zindagi ki sehar, le ke aa gaya
qatil ko aaj apne he ghar le ke aa gaya

Taa umr doondhta raha, manzil main ishq ki
anjaam yeh ke, gard-e-safar le ke aa gaya

nashtar hai mere haath mein, kaandho.n pe meh-kada
lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya

Fakir sanam-kade' mein na aata mein laut kar
ikk zakhm bhar gaya thaa, idhar le ke aa gaya





Poet : Sudharshan Fakir
Singer: Jagjit Singh
Album : Rare Moments