Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho
Saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho
Jub shaakh koi haath lagate hee chaman mein
Sharmaaye,lachak jaaye, to lagta hai ki tum ho
Raaste ke dhundhalke mein kisi mod pe kuchh door
Ek lau si chamak jaaye to lagta hai ki tum ho
Sandal se mahakti hui purkaif hawa ka
Jhonka koi lehraaye to lagta hai ki tum ho
Odhe hue taaron kee chamaktee hui chaader
nadiya koi bal khaye to lagta hai ki tum ho
Jab raat gaye koi kiran mere barabar
Chupchap se so jaaye to lagta hai ki tum ho.
-------------------------------------------
Poet : Jaan Nissar Akhtar
2 comments:
Wah wah ...wah wah....zabardast...
Mehdi Hassan ki ayaz me ye ghazal hai kisi ke pass??
Post a Comment