aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiita hai terii zulf ke sar hone tak
daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatare pe gauhar hone tak
[daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle;
sad = hundred; naha.ng = crocodile;]
[sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred jaws; gauhar = pearl]
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa ra.ng karuu.N Khuun-e-jigar hone tak
[sabr-talab = patient]
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tumako Khabar hone tak
[taGaaful = neglect/ignore]
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak
[partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam = dew; fanaa = decimate;
inaayat = favour]
yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
[besh = excess; Gaafil = ignorant; raqs = dance, sharar = flash/fire]
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shamm'a har ra.ng me.n jalatii hai sahar hone tak
[juz = other than; marg = death]
------------------------------------------------------
Ghalib
Sung by Jagjit Singh
No comments:
Post a Comment