Thursday, August 24, 2006

Woh larki kaisee larki hay

Woh larki kaisee larki hay
Main jis ko chaha karta hoon
main jis ko socha karta hoon
or Shayad...Pooja karta hoon!!
Jisay kabhee bhee, dekha to naheen
Mehsoos magar main karta hoon
Or Aksar socha karta hoon

Keh kaisee ho ge woh larki
Jo rehtee hay meree sochon main
meray khwabon main,
meree Sanson main,
meree Rag Rag main jo ban kar Khoon
rehtee hay Rawan Din Raton main
(Rag= Vessele, Khoon = Blood, Rawan= Run, Din
Raton=Day & Nights)

WOh hay bhee.. ya koi dhoka hay?
woh khwab hay..hawa ka jhonka hay?
woh jo bhee hay, par kaisee hay?
Kia meray Khawabon jaisee hay?
Ya phir un Chehron jaisee hay
jin ka main tasawur karta hoon
(Jhinka=Breeze, un=those, Chehron=faces,
tasawur=visualize, imagine)

Woh kaisee hay..
WOh kaisee hay,
kia meray khwabon jaisee hay?

Itna toota hoon ki

Itna toota hoon ki choone' se bikhar jaoonga...
Abh agar aur dua doge to mar jaoonga

Pooch kar mera pata, waqt raygaan na karo...
main to banjara hoon, kya jane kidhar jaaonga
[waqt raygaan = time waste]

Har taraf dundh hai, jugnu hai na Chiraag koi...
Kuan pehchanega, basti mein agar jaoonga

Zindagi, main bhi Musafir hoon teri kashti ka...
Tu jahan mujh se kahegi, main utar jaoonga

Phool reh jayenge guldaan mein, yadoon ki nazar...
Main to khusbhu hoon, fhizaon mein bikhar jaoonga


(Album: Tere Sehar mein - Ghulam Ali
Lyrics: Moin Nazar)

tanhaa tanhaa ham ro lenge

tanhaa tanhaa ham ro lenge mehfil mehfil gaayenge
jab tak aaNsuu paas rahenge tab tak giit sunaayenge

tum jo socho vo tum jaano ham to apnii kahate hain
der na karanaa ghar jaane mein varanaa ghar kho jaayenge

bachchon ke chhoTe haathon ko chaaNd sitaare chhuune do
chaar kitaabein paDh kar vo bhii ham jaise ho jaaeyenge

kin raahon se door hai manzil kaun saa rastaa aasaaN hai
ham jab thak kar ruk jaayenge auron ko samajhaayenge

achchhii soorat vaale saare patthar-dil hon mumkin hai
ham to us din raa_e denge jis din dhokaa khaayenge.



-by Nida Fazli and sung by Jagjit Singh

Kabhi kisi Ko muqamal jahan

Kabhi kisi Ko muqamal jahan nahi milta
Kahin zameen to kahin Aasman nahi milta

jisse bhi dekhiye woh apne aap mein gumm hai
zubaan milli hai magar hum-zubaan nahi milta

bhuja sakka hai bala kaun waqt ke sholey
yeh aisi aag hai jismein duan nahi milta

tere jehaan mein aisa nahi ki pyaar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahi milta


Voice - Lata
Film - Ahista Ahista

ye dil kabhii na muhabbat

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa


ajal me.n, ziist me.n turabat me.n, hashr me.n zaalim
tere sitam ke liye mai.n hii intaKhaab huaa


[ajal = death; ziist = life; turabat = grave]
[hashr = day of judgement; intaKhaab = selected]


nigaah-e-mast ko saaqii kii kaun de ilzaam
meraa nasiib ki rusavaa meraa shabaab huaa


[shabaab = youth]


hamaare ishq kii das-biis ne bhii daad na dii
kisii kaa husn zamaane me.n intaKhaab huaa


fanaa kaa daavaa hazaaro.n ko thaa zamaane me.n
habaab ne mujhe dekhaa to aab-aab huaa


[habaab(hubaab) = bubble; aab = water]

agar talaash karuu.N

agar talaash karuu.N ko_ii mil hii jaaegaa
magar tumhaarii tarah kaun mujhe chaahegaa


tumhe.n zaruur ko_ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.Nkhe.n hamaarii kahaa.N se laaegaa


naa jaane kab tere dil par na_ii sii dastak ho
makaan Khaalii huaa hai to ko_ii aaegaa


mai.n apanii raah me.n diivaar ban ke baiThaa huu.N
agar vo aayaa to kis raaste se aaegaa


tumhaare saath ye mausam farishto.n jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataaegaa

ab main raashan ki qataaron

ab main raashan ki qataaron mein nazar aataa hoon
apne kheton se bichhad ne ki sazaa paata hoon | M |

itni mehangaaee ke bazaar se kuchh laataa hoon
apne bachchon mein use baant ke sharmaataa hoon |

apne neendon ka lahoo pauchh ne ki koshish mein
jaagte jaagte thak jaataa hoon so jaataa hoon |

koi chaadar samajh ke kheench na le phir se "Khaleel"
main qafan oudh ke footpath pe so jaataa hoon | M |


-------------------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Khaleel Dhantejvi
Album : Cry for Cry - by Jagjit Singh

Aankh se door na ho

Aankh se door na ho, Dil se uttar jayega
Waqt ka kya hai, guzarta hai guzar jayega

Itna mayoos na ho, irwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhega to darr jayega

Tum sare-rah-e-wafa dekhte reh jaaoge
Aur woh bam-e-rafaqat se uttar jayega

Zindagi teri aata hai to yeh jaane wala
Teri bakshish teri dehleez pe dar jayega



-----------------------------------------
Lyrics - Ahmad Faraz
Singer - Lata Mangeshkar
Album - Sajda - vol 2

Aay mohabbat tere anjaam pe

Aay mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyoon aaj tere naam pe rona aaya

Yun to har shaam umeedo.n mein guzar jaati thee
aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya

Kabhi taqdeer ka maatum, kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein, har gaam[step] pe rona aaya

jabh hua zikr zamaane' mein mohabbat ka Shaqeel
mujhko apne dil-e-nakaam pe rona aaya



-----------------------------------------
Poet : Shaqeel Badayuni
Singer : Begum Akhtar

Aaina Mujhse Meri Pehli Si

Aaina Mujhse Meri Pehli Si Soorat Maange
Aaina Mujhse Meri Pehli Si Soorat Maange
Mere Apne Mere Hone Ki Nishaani Maangen
Aaina Mujhse Meri Pehli Si Soorat Maange

Main Bhatakta Hi Raha Dard Ke Veeraane Mein
Waqt Likhta Raha Chehre Pe Har Pal Ka Hisaab
Meri Shohrat Meri Deewangi Ki Nazar Hui
Pee Gayee Maiki Botal Mere Geeton Ki Kitaab
Aaj Lauta Hoon To Hansne Ki Adaa Bhool Gaya
Yeh Shahar Bhoola Mujhe, Main Bhi Ise Bhool Gaya
Mere Apne Mere Hone Ki Nishaani Maangen
Aaina Mujhse Meri Pehli Si Soorat Maange

Mera Fun Phir Mujhe Bazaar Mein Le Aaya Hai
Yeh Woh Jah Hai Ki Jahan Mehr-O-Wafa Bikte Hain
Baap Bikte Hain Aur Lakht-E-Jigar Bikte Hain
Kokh Bikti Hai Dil Bikte Hain Sar Bikte Hain
Is Badalti Hui Duniya Ka Khuda Koi Nahin
Saste Daamon Mein Har Roz Khuda Bikte Hain
Bikte Hain, Bikte Hain
Mere Apne Mere Hone Ki Nishaani Maangen
Aaina Mujhse Meri Pehli Si Soorat Maange

Har Khareedaar Ko Bazaar Mein Bikta Paaya
Hum Kya Paayenge Kisi Ne Yahan Kya Paaya
Mere Ehsaas Mere Pul Kahin Aur Chalen
Bol Puja Meri Bachchi Kahin Aur Chale
Aur Chale, Aur Chale


Film : Daddy

Aahat si koi aaye

Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho
Saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho

Jub shaakh koi haath lagate hee chaman mein
Sharmaaye,lachak jaaye, to lagta hai ki tum ho

Raaste ke dhundhalke mein kisi mod pe kuchh door
Ek lau si chamak jaaye to lagta hai ki tum ho

Sandal se mahakti hui purkaif hawa ka
Jhonka koi lehraaye to lagta hai ki tum ho

Odhe hue taaron kee chamaktee hui chaader
nadiya koi bal khaye to lagta hai ki tum ho

Jab raat gaye koi kiran mere barabar
Chupchap se so jaaye to lagta hai ki tum ho.




-------------------------------------------
Poet : Jaan Nissar Akhtar

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN

1. aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

2. dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]

3. giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

4. hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

5. dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

6. qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

7. toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]


------------------------------------------------------
Mirza Ghalib

aah ko chaahiye

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiita hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatare pe gauhar hone tak

[daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle;
sad = hundred; naha.ng = crocodile;]
[sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred jaws; gauhar = pearl]

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa ra.ng karuu.N Khuun-e-jigar hone tak

[sabr-talab = patient]


ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tumako Khabar hone tak

[taGaaful = neglect/ignore]

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak

[partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam = dew; fanaa = decimate;
inaayat = favour]

yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

[besh = excess; Gaafil = ignorant; raqs = dance, sharar = flash/fire]


Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shamm'a har ra.ng me.n jalatii hai sahar hone tak

[juz = other than; marg = death]




------------------------------------------------------
Ghalib
Sung by Jagjit Singh