Monday, June 05, 2006

Koi yeh Kaise bataye

Koi yeh Kaise bataye ki woh tanha kyoon hai
Woh jo apna thaa wohi aur kissi ka kyoon hai
yehi duniya hai to fhir aisi yeh duniya kyoon hai..
yehi hota hai to akhir yehi hota kyoon hai

Ek zara haath badda dein to pakad le daman
Uske seene mein samma jaye humari dhadhkan
itni kurbat hai to fhir fasla itna kyoon hai

Dil-e-barbad se nikla nahi abh tak koi
Ikk lutte ghar pe diya karta hai dastak koi
aaas jo toot gayi fhir se bandata kyoon hai

Tum massarat ka kaho ya isse gumm ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka rishta to badalta kyoon hai

No comments: