Tuesday, September 12, 2006

Meri dastan-e-hasrat

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye
mujhe azmanay walay mujhe aazma ke roye

Koi aisa aihel-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat
mein usay suna ke ro'un wo mujhe suna ke roye

meri Arzoo ki duniya dil-e-natawa ki hasrat
jise kho ke shadman thay usay aaj pa ke roye

teri bewafaiyon par teri kaj adayion par
kabhi sar jhuka ke roye kabhi munh chupa ke roye

jo sunai anjuman mein shab-e-gham ki aap-beeti
kai ro ke muskuraye kai muskura ke roye.

Yaa khuda mera imtihaan na le

Yaa khuda mera imtihaan na le,
kaise jeetha hun yeh bayaan na le!

Badi mushkil se bachke ayaa hun,
Zindagi phir kahin pahachaan na le!

Meri duniya isise zinda hai,
Jaan le le, mera imaan na le!

Maang lega kabhi keemat thujhse,
Bhool kar dost kaa ahsaan na le!

--------------------------------------------
Poet - 'Narottam Sharma'

Har taraf har jagah

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Fhir bhi tanhayee-yon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bhoj dhota hua
Apni hee laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua, roz marta hua
Har naye din naya intezaar aadmi

Zindagi Ka muqadar safar dar safar
Akhiri saans tak bekarar aadmi

--------------------------------------
Singers - Lata Mangeshkar & Jagjit Singh
Lyrics - Nida Fazli
Album - Sajda Vol - II

Dil hi to hai

Dil he to hai, Na Sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyoon

Qaid-e-hayaat O band-e-gham, Asal mein dono ek hai
Maut se pehle aadmi, gham se nijaat paye kyoon

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aasstan nahi
Baithe-hain rah guzar par hum, gair humein uthhaye kyoon

Ghalib-e-khasta ke bagair, kaun se kaam bandh hain
Royiye zaar zaar kya, keejiye haye haye kyoon


------------------------------------------
Lyrics - Ghalib
Singer - Jagjit Singh
Album - Sajda Vol 2

Mili hawaon mein udne ki woh saza yaron

Mili hawaon mein udne ki woh saza yaron
Ki main zameen ke rishton se kut gaya yaron

Woh be-khayal musafir, mein raasta yaron
Kahan thaa buss mein mere usko rokna yaron

Mere kalam pe zamaane ki gard aisi thee
Ke apne barein mein kucch bhi na likh saka yaron

Tamaam sehar he jisski talaash mein gumm thaa
Mein uske ghar ka pata kiss-se poochta yaron

-------------------------------------------------
Lyrics - Waseem Barelvi
Singers - Lata and Jagjit Singh
Album Sajda vol2

Tujh se milne ki saza

Tujh se milne ki saza denge tere Sehar ke log
yeh Wafa-on ka silla denge tere sehar ke log


Kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
Mujhko deewana bana denge tere sehar ke log


Teri nazron se giraane ke liye jaan-e-hayaat
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sehar ke log

Keh ke deewana Mujhe maar rahe hain pathar
Aur kya iske siwa denge tere sehar ke log



-----------------------------------------------------

Lyrics - Danish Aligarhi
Singer - Jagjit Singh
Album - Sajda Vol 2

Mausam ko isharon se bula kyoon nahi lete

Mausam ko isharon se bula kyoon nahi lete
Rootha hai agar woh to, mana kyoon nahi lete

Dewaana tumhara hoon, koi gair nahi hoon
machla hoon to seene' se laga kyoon nahi lete

Khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jala kar
Tanhayee ko rangeen bana kyoon nahi lete

Tum Jaag rahe ho, Mujhe accha nahi lagta
Chupke se meri neendh chura kyoon nahi lete



---------------------------------------------------

Lyrics - Zafar Gorakhpuri
Singer - Jagjit Singh
Album - Sajda Vol2

Duan bana ke fiza mein udda diya mujhko

Duan bana ke fiza mein udda diya mujhko
Mein jal raha thaa, kissi ne bujha diya mujhko

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar harf liye
Sawaal yeh hai ke kitaab-on ne kya diya mujhko

Safed sang ki chaadar lapeat kar mujh par
Faseene-sehar se kissne saja diya mujhko

Main ek zarra, bulandi ko choo-ne nikla thaa
Hawa ne thumm ke zamein par gira diya mujhko


-==============
Lyrics - Nazeer Baqri
Singer - Lata
Album - Sajda Vol 2

mai.n royaa parades me.n bhiigaa maa.N kaa pyaar

mai.n royaa parades me.n bhiigaa maa.N kaa pyaar
dukh ne dukh se baat kii bin chiThThii bin taar
chhoTaa karake dekhiye jiivan kaa vistaar
aa.Nkho.n bhar aakaash hai baaho.n bhar sa.nsaar


leke tan ke naap ko ghuume bastii gaa.Nv
har chaadar ke gher se baahar nikale paa.Nv
sabakii puujaa ek sii alag-alag har riit
masjid jaae maulvii koyal gaae giit
puujaa ghar me.n muurtii miira ke sa.ng shyaam
jisakii jitanii chaakarii utane usake daam


saato.n din bhagavaan ke kyaa ma.ngal kyaa piir
jis din soe der tak bhuukaa rahe fakiir
achchhii sa.ngat baiThakar sa.ngii badale ruup
jaise milakar aam se miiThii ho ga_ii dhuup


sapanaa jharnaa nii.nd kaa jaagii aa.Nkhe.n pyaas
paanaa khonaa khojanaa saa.Nso.n kaa itihaas
chaahe giitaa vaachiye yaa pa.Dhiye quraan
meraa teraa pyaar hii har pustak kaa Gyaan


------------------------------------------
Poet - Nida Fazli
Singer- Jagjit Singh
Album - Insight

Khushboo ki tharha ayaa

Khushboo ki tharha ayaa, woh tez hawaon me,
Mangaa tha jise hamne din raath duwaon me!

Tum chat pe nahin aayen, mai ghar se nahin niklaa,
Yeh chaand bahut bhatka, saawan ki ghataon me!

Is shaher me ek ladki bilkul hai ghazal jaisi,
Phool ka badan waali, khushboo si adaon me!

Duniya ki tarha woh bhi hansthe hai mohobbat par,
Doobe huwe rahate the jo log wafaon me!

Hanste huwe aaye ho, rote huwe jaoge,
Kaante bhi chubhaayenge yeh phul adaon me!


---------------------------------------------
Poet : Bashir Badr